Sawal: Kya Huzoor صلى الله عليه وسلم Noor hain aur duniya me “Bashari” libaade me tashreef laaye hain? Ya kya Huzoor صلى الله عليه وسلم hamari tarah
“Bashar” hain?
Jawaab: Huzoor صلى الله عليه وسلم Noor hain aur is duniya me bashari libaade me tashreef laaye hain.
Al Quran: ينِ ٌ
ٌور َوِكَت ٌ اب ￾مب
ْد َجاءكُم ￾م َن ّ ا￾ِ نُ
قَ
Translation: Beshak tumhare paas Allah جل جلاله ki taraf se ek Noor aaya aur ek Roshan Kitaab. (Parah 6, Surah Al Maedah: 15)
Mufassir e Islam Hazrat Abbas Razi Allahu Taala Anhu is aayat ki tafseer ke tahat farmaate hain ke Noor se muraad Huzoor صلى الله عليه وسلم
hain aur is “Kitaabum Mubeen” se muraad Qur’an hai.
Hadith: Hazrath Jabir Razi Allahu Taala Anhu se riwayat hai ke main ne sawal kiya Ya Rasool Allah صلى الله عليه وسلم !Mere maa baap Aap صلى الله عليه وسلم par
qurbaan mujh ko khabar dijiye ke sab se pehle Allah جل جلاله ne kis ko paida kiya.
Farmaya, Allah جل جلاله ne sab se pehle tere Nabi صلى الله عليه وسلم ke Noor ko (apne Noor se paida kiya) phir wo Noor qudrat e ilaahiya se jahan
Allah جل جلاله ko manzoor tha sair karta raha us waqt na loh thi na qalam tha na jannat na dozaq na farishte na aasmaan na zameen na
soorat na chand na sitare na insaan.
(-Bahawala Baihaqi Shareef, Mawahibul Laduniya).
Hadith: Hazrat Anas Razi Allahu Taala Anhu riwayat karte hain ke Huzoor Nabi e Akram صلى الله عليه وسلم ne mahine ke aakhir me sehri o iftaar
kiye baghair musalsal roze rakhne shuru kar diye to ba’az deegar log bhi Aap صلى الله عليه وسلم ki ittebaa me wisaal ke roze rakhne lage. Huzoor
Nabi e Akram صلى الله عليه وسلم tak jab ye baat pohonchi to Aap صلى الله عليه وسلم ne farmaya: Agar ye Ramzan ka mahina mere liye aur lamba ho jata to
main mazeed wisaal ke roze rakhta taa ke meri barabari karne waale meri barabari karna chhod dete. MAIN “QATA’N” TUMHARI
MISL NAHI HOON, MUJHE MERA RAB KHILATA BHI HAI AUR PILAATA BHI HAI.
(Muttafaq Alaih Hadith)
In daleelon se Huzoor صلى الله عليه وسلم ka Noor hone ka sabot milta hai.
Ab kuch log ye Aayat (Translation): “Keh do main tumhaari tarah bashar hoon. “
Padhkar Huzoor صلى الله عليه وسلم ki bashariyat ko uchalte hain aur apni tamam tawanaiyaan sarf kardete hain. Unko chahiye ki Huzoor صلى الله عليه وسلم ki
fazeelat me aayi tamam aayaton ki tilawat karen.
Hum Ahl e Sunnat Wal Jamaat ka aqeeda hai ke Huzoor صلى الله عليه وسلم Noori bashar hain.
Huzoor صلى الله عليه وسلم ki Nooraniyat par bhi Imaan rakhna zaroori hai aur Huzoor صلى الله عليه وسلم ki bashariyat par bhi imaan rakhna zaroori hai 

Popular posts from this blog